Mahayatra
Mahayatra
Jiiwan kii dhalatii sandhya men Yauvan ojhal ho gayaa Yah kiskii aawaaj hai saathi Jo hamen bulaa rahii
Kaun hai jo bina bulaaye Chupachaap bandhataa aa rahaa Door gagan kii ot se Kaun nimantran de raha
Yah karun krandan hai kisakii Jo dil ko dehalaa rahaa Tan man kaanp uthaa meraa Aansoo gangaajal ban nikalaa
Jiiwan sandhya kii wela mein Is godhooli welaa mein Door khitij se aatii Yah aawaaj hai kisakii
Abhii mat so-o saathii Wakt kanhaa abs one kaa Dekho apane shyanaagar mein Yah samaadhi hai kisakii
Is yaatraa kaa ant kanhaa Kanhaa shuru khatma kanhaa Kissi ne nahiin jaanaa hai Mahayatra mein hamein bhii jaanaa hai
Abhii mat so-o saathii Hamein bahut door jaanaa hai
| Added: Saturday, 9 July 2005 Modified: |