Som – patra Bhara Rah Gaya
Som – patra Bhara Rah Gaya
( Manushhya ka yah jivan kshan – bhangur hai . Abhi hai, abhi nahiin hai ; yah janate huye bhi manushya jab tak jinda rahataa hai, tab – tak maya ke janjeer se jakda rahataa hai. Is shariir ko sukh dene aur sajaane ke liye har sambhav prayas karataa hai, lekin mrityu ke samaksh usakii ek nahiin chalatii . Ek din mrityu aakar aatmaa ko chhiin le jaatii hai aur som – patra rupii shariir yahiin dharaa rah jaataa hai . )
Jiivan kii Dhusar sandhyaa mein Yagya samaapti kii bela mein Som – patra rah gayaa bharaa Bujhane lagii hom – kund kii jwaalaa
Jis tan par thaa itanaa guroor Man rahataa thaa wasanaa mein choor Jivan banaa huaa thaa sukh muhrtt Wahi aaj sabase pahale rooth chalaa
Kabhii bujh jaatii hai shiital pawan ke jhonke se Aur man tivra unmad liye ud chalaa gagan mein Kabhii jal uthatii hai virakti kii aabhaa se Lagataa hai chaandi ke is tan – rath ko Aatmaa hankate – hankate thak gayaa
Jiine ki uddam laalasaa dharii rah gaii jag mein Khulate – moondate nayan asahaay snehapaatra ban Doob rahaa niiravataa ke antah – sthal mein
Yauwan pane ke liye mar – mar kar ham jiite hain Sada purnataa pane ki ham bhool kiyaa karate hain Jiwan kaa santosh doosare kaa rodan hotaa hai Jiwan – garal ko sudha – ras mein Badalane kaa prayaas sada rahataa hai
Timir hriday ke kone mein kalpanaa ko pirotii rahii Swasth – lataa sii chaah – lataa failatii chalii gaii Kis kshan ko ham bhoolen, kis kshan ko yaad Karen Soch – sochakar aankhon se sarita bahatii chalii gaii
Swarn manjarii –sii diikhatii is jiwan ke Rajamahal kaa gufaa – dwaar kanhaan hai Kaun – kaun wahaan dwaarapaal khadaa hai Kisii ko isakii khabar kahaan hai
Ambar ko choomatii, hawaa mein tairatii Rang – birangii kalpanaayen rahatii hain Sugandhit foolon kaa haar liye Kaamadevii baanhen failaaye khadii rahatii hai
Anuraag samiiron – sa itarataa aur dolataa hai Abhilaashaa sukh ke swaagat mei sadaa tatpar rahatii hai Nayan ghaatii mein dukh kabhii ghan – sa chhaata hai To turant antar kii shiitalataa hawaa ban uda le jaatii hai
Sukh, kapolon par lalii – sa Aur aankhon mein anjan – sa lagataa hai Jawanii kii unmaad itanii tiivra hotii hai Sundarataa kii panw mein payal – sii lipatii rahatii hai
Jiwan kaa yah nishhthur darshan sadaa Piidaa bharaa aur vedanaadaayak hotaa hai Jahaan kaliyaan hii kaliyaan diikhatii hain Wanhii kaanton kaa prant failaa hota hai
| Added: Monday, 4 July 2005 Modified: |